ai but jafa se apni liya kar wafa ka kaam bandon ke kaam aa ki yahi hai khuda ka kaam kis ja tha qasd shauq ne pahuncha diya kidhar kahte na the thagon se na le rahnuma ka kaam kahta hai dil suna mujhe gesu ki dastan aaj us ne sar pe dal diya hai bala ka kaam tasir ko na aah se puchhun to kya karun kyun khud utha liya dil-e-be-muddaa ka kaam apni si tu to kar unhen phir ikhtiyar hai sunna hai un ka kaam pahunchna dua ka kaam sine mein dagh khilte hi jate hain har nafas ab apni sans karti hai baad-e-saba ka kaam musa faqat na the tere aaina-daron mein isa bhi karte the lab-e-mojiz-numa ka kaam har raat apni aankhon ko rona hai farz-e-ain taat-guzar karte hain jaise khuda ka kaam tha bhi zalil husn ki sarkar mein ye dil kam-bakht ko supurd hua iltija ka kaam ai 'shad' meri sakht-zabani pe hai khamosh naseh bhi ab to karne laga ambiya ka kaam