ai dost mit gaya hun fana ho gaya hun main is daur-e-dosti ki dawa ho gaya hun main qaem kiya hai main ne adam ke wajud ko duniya samajh rahi hai fana ho gaya hun main himmat buland thi magar uftad dekhna chup-chap aaj mahw-e-dua ho gaya hun main ye zindagi fareb-e-musalsal na ho kahin shayad asir-e-dam-e-bala ho gaya hun main han kaif-e-be-khudi ki wo saat bhi yaad hai mahsus kar raha tha khuda ho gaya hun main