agar mujhse meri kuchh aatish-e-gham kam nahin hoti

agar mujh se meri kuchh aatish-e-gham kam nahin hoti
koi tadbir tujh se bhi to chashm-e-nam nahin hoti

bura ho sozish-e-dil ka bura ho soz-e-furqat ka
lagi hai aag wo dil mein kabhi jo kam nahin hoti

tasawwur ho kisi ka dil mein ya raaten judai ki
khalish teri kabhi ai soz-e-furqat kam nahin hoti

but-e-kafir-ada tujh se teri taswir achchhi hai
meri rudad-e-gham sun kar kabhi barham nahin hoti

chalen baad-e-khizan ke raat-din jhonke gulistan mein
mohabbat wo kali hai jis ki khushbu kam nahin hoti

karun to kya karun tadbir main is soz-e-furqat ki
bujhane par bhi meri aatish-e-gham kam nahin hoti

tadapna dekhti rahti hai mera 'raaz' furqat mein
shab-e-gham tu bhi qismat se meri hamdam nahin hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close