husn ki shama ke parwane chale aate hain

husn ki shama ke parwane chale aate hain
be-bulae hue diwane chale aate hain

kya mere dil ko wo samjhane chale aate hain
yani aur aag ko sulgane chale aate hain

fasl-e-baada bhi nahin mast ghataen bhi nahin
kyon chhalakte hue paimane chale aate hain

dard-e-dil dete hain aur khud ye karam karte hain
rone walon ko wo samjhane chale aate hain

rahm se khali nahin mere liye un ka sitam
is dil-e-zar ko tadpane chale aate hain

tum na aae sitam afsos ayaadat ke liye
apne to apne hain begane chale aate hain

koi poshida nahin raaz-e-mohabbat lekin
'raaz' hamraaz ko samjhane chale aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close