agar na manen na samho ki jaante hi nahin zidon ki baat bhi hai kuchh mughaalate hi nahin mutalibaat-e-mohabbat hain main hun aur tum ho ajib hai ye musallas ki zawiye hi nahin mere junun ke bharose pe kah diya us ne hum aae aap ke ghar par to aap the hi nahin bayaz-e-dil ki karen to karen kahan islah kitabat aisi hui hai ki hashiye hi nahin isi muhit mein wapas palat ke aana tha to ban ke abr kabhi ja se hum uthe hi nahin ujad ho gaya sahra-e-dil ki jaise yahan ghazal o zaigham o kargas kabhi rahe hi nahin ab is maqam pe bim-o-raja hain be-mani ki chahte hain use jis ko chahte hi nahin yahi hai rasta ab duriyan badhaenge badhin hum us ki taraf kaise fasle hi nahin koi fareb ki hum jis se dil ko bahlaen talash karte hain khat us ne jo likhe hi nahin