tumhaare sath kai rabte nazar aae ghamon ke daur talak silsile nazar aae gira tha zehn ke dariya mein soch kar kankar phir us ke baad kai daere nazar aae jahan jahan pe tawaqqo thi manzilon ki hamein wahan wahan pe nae raste nazar aae har ek samt manazir the shahr-e-mazi ke jidhar nigah uthi aaine nazar aae safar kathin to na lagta tha chahaton ka magar jo chal pade to kai marhale nazar aae jahan pe dub gaya tha wo shakhs dariya mein wahan se uthte hue bulbule nazar aae hum apni jaan hatheli pe rakh ke ghar se 'nasim' nikal pade to kai moajize nazar aae