agar rah mein us ki rakha hai gam gae guzre khizar alaihis-salam dahan yar ka dekh chup lag gai sukhan yan hua khatm hasil-kalam mujhe dekh munh par pareshan ki zulf gharaz ye ki ja tu hui ab to sham sar-e-sham se rahti hain kahishen hamein shauq us mah ka hai tamam qayamat hi yan chashm-o-dil se rahi chale bas to wan ja ke kariye qayam na dekhe jahan koi aankhon ki aur na lewe koi jis jagah dil ka nam jahan 'mir' zer-o-zabar ho gaya khiraman hua tha wo mahshar-khiram