agar sab sach ke matwale hue hain

agar sab sach ke matwale hue hain
zaban par qufl kyon dale hue hain

suna hai choriyan ho jaengi band
ki ab rahzan hi rakhwale hue hain

ghubar-alud hai fasl-e-bahaaran
gul-e-khush-rang matiyale hue hain

ek an-jaana sa dar hai dil pe tari
ki dushman ab to ghar wale hue hain

saron ki hai zarurat waqt ko phir
buland har samt se bhaale hue hain

pahad apni jagah qaem hain ab tak
qayamat ko abhi tale hue hain

mujhe bhi ho bashaarat manzilon ki
mere panw mein bhi chhaale hue hain

jawaz-e-khauf kya ho ab 'tasawwur'
inhi haalat ke pale hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close