agar sun le kahin be-mehr tu bhi dastan meri jigar ke par ho jae tere tarz-e-bayan meri kabhi jo sadma-e-furqat se main ne aah ki ai dil zamana ko hila dalegi ye aah-o-fughan meri zamin kanpe agar malum ho haalat meri us ko falak tharrae gir sun le kisi se dastan meri nigahen dhundhti hain har taraf subh-o-masa tujh ko ajab zalim hai tu rahta hai nazron se nihan meri judai mein jalega teri misl-e-shama dil mera agar ki battiyan ban kar jalengi haddiyan meri na din ko chain milta hai na shab ko nind aati hai teri furqat mein ye haalat hui jaan-e-jahan meri gham-e-furqat mein hamdam haal mera puchhta kya hai nazar rahti hai har saat ba-su-e-asman meri jahan mein hai zaban-e-khalq par har-dam but-e-khud-sar jafa teri wafa meri sitam tera fughan meri khudara ek nigah-e-lutf ho 'unsi' ki jaanib bhi ye kahte kahte tujh se sang-dil sukhi zaban meri