badh ai zauq-e-junun ab kis ka dar hai idhar ye sar udhar wo sang-e-dar hai mere dil ko to wo le hi chuke hain magar iman par bhi ab nazar hai likha hai surma ki tahrir mein ye ki ye ghaarat-gar-e-qalb-o-nazar hai nigahen chaar-su hairan kyon hain khudaya wo mera dilbar kidhar hai 'anis'-e-zar par kya kya na guzri kaho tum ko bhi kuchh is ki khabar hai