agar tum dil hamara le ke pachhtae to rahne do na kaam aae to wapas do jo kaam aae to rahne do mera rahna tumhaare dar pe logon ko khatakta hai agar kah do to uth jaun jo rahm aae to rahne do kahin aisa na karna wasl ka wada to karte ho ki tum ko phir koi kuchh aur samjhae to rahne do dil apna bechta hun wajibi dam us ke do bose jo qimat do to lo qimat na di jae to rahne do dil-e-'muztar' ki betabi se dam uljhe to wapas do agar marzi bhi ho aur dil na ghabrae to rahne do