charagh-e-zist ke donon sire jalao mat agar jalao to lau is qadar badhao mat is aarzu mein ki zinda utha liye jao khud apne dosh pe apni salib uthao mat sulag raha hai jo dil wo bhadak bhi sakta hai qarib aao par itne qarib aao mat jo zakhm khae hain un ko sada aziz rakho jo tum ko bhul gaya ho use bhulao mat jahan mein koi to ho eatibar ke qabil wafa-e-dost ko ab aur aazmao mat isi tarah se mili hai har ek ko dad-e-hunar jo sang aae use chum lo ganwao mat