ek lahraati hui naddi ka sahil hua main phir hua ye ki har ek lahr se ghael hua main ab banate hain mere dost nishana mujh ko tujh ko pane ki talab mein kisi qabil hua main dil mein is raaz ko ta-umr chhupa kar rakkha kis ki chahat mein tha shamil kise hasil hua main aa gaya ishq ka mafhum samajh mein us ki us ke khwabon mein kisi roz jo dakhil hua main tu sukhan-war hai to mujh ko bhi ye hasil hai sharaf lafz ban kar tere diwan mein shamil hua main ek muddat se samajhne mein laga hun khud ko yani ab apne liye bhi bada mushkil hua main