agar wo ham-safar thahren to hum ko dar mein rakhte hain bikhar jaen na hum khud ko muqayyad ghar mein rakhte hain hamein sayyargan ki gardishen malum hain lekin hum apni gardishon ko apne hi mehwar mein rakhte hain safar ke baad rahte hain tasalsul mein safar ke hum talash-e-rizq ka jazba shikasta par mein rakhte hain hamara haal-e-dil ab tak kisi par khul nahin paya wufur-e-dard ko hum zabt ki chadar mein rakhte hain hum ahl-e-dard hain apna to shewa hi faqiri hai jahan ke dard apni zat ke paikar mein rakhte hain koi qarun baqi hai na koi shah ab 'asif' wo kaise log hain khud ko jo qaid-e-zar mein rakhte hain