mila ek guna sukun hamein jo tumhaare hijr mein ro liye zara bar-e-qalb subuk hua kai dagh dard ke dho liye ho nashat-e-dil ki malal-e-dil hamein pesh karna jamal-e-dil kabhi hans ke phul khila liye kabhi roke moti piro liye hai rahin gham meri justuju ye hai kaisa gulshan-e-rang-o-bu yahan kuchh gulo ki talash mein kai khar main ne chubho liye kai umr daudte-bhagte rahe yun to shab ko bhi jagte kabhi thak gae to thahar gae kabhi nind aai to so liye sabhi log mast-e-shuur hain ki khudi ke nashshe mein chur hain koi gham-shanas nahin yahan gham-e-dil kisi pe na kholiye ye unhin ka nur hai jis mein hum chale hausle se qadam qadam jo sarishk gham ke baha liye jo diye wafa ke sanjo liye