agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara

agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara
ya us pe mabni koi tassur koi ishaara to main tumhaara

ghurur-parwar ana ka malik kuchh is tarah ke hain nam mere
magar qasam se jo tum ne ek nam bhi pukara to main tumhaara

tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun bazi
agar main jita to tum ho mere agar main haara to main tumhaara

tumhaara aashiq tumhaara mukhlis tumhaara sathi tumhaara apna
raha na in mein se koi duniya mein jab tumhaara to main tumhaara

tumhaara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta hun
agar muqaddar ka koi tuta kabhi sitara to main tumhaara

ye kis pe tawiz kar rahe ho ye kis ko pane ke hain wazife
tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhaara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close