apne haalat ka asir hun main dard ki daulat-e-kasir hun main jama kar kar ke apni mahrumi ban gaya kis qadar amir hun main mere zahir ko dekhne wale ek baatin ghani faqir hun main aazma le tu jis tarah chahe hun to kam-maya ba-zamir hun main tu hai anwar-e-be-karan tu bata kis ka ek para-e-munir hun main ye sawal ab tere bachao ka hai teri khinchi agar lakir hun main koi harf-e-talab na harf-e-sawal aisa ek boriya-pazir hun main teri kirnon ne tarbiyat ki hai mana ek zarra-e-haqir hun main khatm mujh par hai infirad mera aap apni hi ek nazir hun main ek tahzib ke sahife ka shayad ab hissa-e-akhir hun main 'tarzi' karta hun phir rafu daman yani ek said-e-tark-o-gir hun mein