badan ke luqma-e-tar ko haram kar liya hai ki khwan-e-ruh pe jab se taam kar liya hai batao udti hai bazar-e-jaan mein khak bahut batao kya hamein apna ghulam kar liya hai ye aastana-e-hasrat hai hum bhi jaante hain diya jala diya hai aur salam kar liya hai makan ujad tha aur la-makan ki khwahish thi so apne aap se bahar qayam kar liya hai bas ab tamam ho ye wahm o e'tibar ka khel bisat ulat di sabhi sara kaam kar liya hai kisi se khwahish-e-guftar thi magar 'saqib' wufur-e-shauq mein khud se kalam kar liya hai