agar zaban se na ashk-e-rawan se guzrega to phir ghubar-e-tabiat kahan se guzrega hamare naqsh-e-qadam rah mein banae rakho abhi zamana isi kahkashan se guzrega abhi to bijliyan tutengi khirman-e-dil par abhi to qafila shahr-e-butan se guzrega nasib hongi use sarfaraaziyan kya kya jo sar jhuka ke tere aastan se guzrega usi se raste puchhenge khairiyat meri wo mere shahr mein tanha jahan se guzrega main sochta hun rahega jo fasla qaem zamana un ke mere darmiyan se guzrega nasib hongi use kaamyabiyan 'nazmi' khushi ke sath jo har imtihan se guzrega