kitab-e-zindagi ki jadwalon mein rang hum se hai sahifa aarzu ka sar-ba-sar arzhang hum se hai dil-e-shabnam pe rakkha hai hamin ne dast-e-gham-khwari darun-bini harif-e-afsar-o-aurang hum se hai hamare hauslon se nur le le gulsitan jab tak sahar ka qafila pichhe kai farsang hum se hai ulajhta hai ba-zahir har chaman se har kharabe se magar dar-parda tufan-e-bala ki jang hum se hai tasadum ki bhi jurat tutne ki bhi hamein himmat waqar-e-shisha hum se hai ayar-e-sang hum se hai khizan mein bhi raha 'kausar' shagufta hausla apna bahaar-e-naghma saz-e-dard ka aahang hum se hai