agarche ishq mein ek be-khudi si rahti hai magar wo nind bhi jagi hui si rahti hai wahi to wajh-e-taaruf hai koi kya jaane ada ada mein jo ek be-rukhi si rahti hai badi ajib hai shab-ha-e-gham ki zulmat bhi diye jalao magar tirgi si rahti hai hazar dard-e-faraez hain aur dil-e-tanha mere khulus ko sharmindagi si rahti hai 'shamim' khun-e-jigar se ubhaariye lekin har ek naqsh mein koi kami si rahti hai