ghuti ghuti khak mein dabi is sada se aage hai aur shara-e-marg karb-o-bala se aage mere masiha talash kar dhadkanon ke jugnu yahan wahan zindagi padi hai fana se aage nigal gai hanste-khelton ko palak jhapakte sitamgari mein zamin badhi intiha se aage unhin ki sanson ko le ude aandhiyon ke rele jo uncha udne ki chah mein the hawa se aage sharik-e-gham sab hue hain lekin ye waqt wo hai ki jis mein darkar aur kuchh hai dua se aage main chhat tale pitti hun 'rakhshanda' apne sar ko ki ham-nafas nange sar khade hain rida se aage