agarche kahne ko kal kaenat apni thi haqiqatan kahan apni bhi zat apni thi kahen to kis se kahen hum hayat apni thi na koi din tha hamara na raat apni thi koi bhi aaj to apna nazar nahin aata jo tum the apne to kul kaenat apni thi ye kya ki aaj koi nam tak nahin leta wo din bhi the ki har ek lab pe baat apni thi hamare pas raha kya hai ab ghamon ke siwa wo din gae ki rah-e-shash-jihat apni thi hamin se bhul kahin ho gai mohabbat mein wagarna wo nigah-e-iltifat apni thi jo tum qarib the har shai pe ikhtiyar sa tha ye chand aur sitaron ki raat apni thi hamein khud apni khirad ka ghurur le duba nahin to ek zamane mein baat apni thi 'hayat' is liye nazm-e-kuhan ko tod diya ki aaj sirf isi mein najat apni thi