agarche main ne likhin us ko arziyan bhi bahut udain us ne magar un ki dhajjiyan bhi bahut milega faeda kuchh zist ke safar mein mujhe agarche is mein hai adnesha-e-ziyan bhi bahut mere qarib jab aaoge jaan jaoge buraiyan hain agar mujh mein khubiyan bhi bahut bade dukhon mein guzari hai zindagi phir bhi jahan main chhodi hain hum ne kahaniyan bhi bahut dikhai dete hain kuchh phul ab bhi shakhon par bikher di hain hawaon ne pattiyan bhi bahut ye aur baat hai mahfuz bijliyon se na the meri nigah mein the yun to aashiyan bhi bahut hamari dosti ai dost shak ki zad mein hai hain qurbaten bhi bahut hum mein duriyan bhi bahut masarraton ki talab mein jo ghar se nikla tha usi ke hisse mein aaen udasiyan bhi bahut abhi to habs hai mushkil hai sans lena bhi hawa chali to phir aaengi aandhiyan bhi bahut ghazab ka husn sahi teri sadgi mein magar pasand hain mujhe ai dost shokhiyan bhi bahut mera khayal hai pa lunga main 'rashid' use mere khayal mein lekin hain khamiyan bhi bahut