nizam-e-tabiat se ghabra gaya dil tabiat ki ab barhami chahta hun meri be-qarari se khush hone wale na khush ki main bhi yahi chahta hun jafa ko bhi teri jo sharminda kar de wo mazlum main zindagi chahta hun ghazab hai ye ehsas warastagi ka ki tujh se bhi khud ko bari chahta hun sar-e-dar mansur ko thi jo hasil main 'hadi' wahi zindagi chahta hun