lakh chaha main ne parda samne aaya nahin meri aankhon ne use dhunda magar paya nahin rahraw-e-dasht-e-tamanna ka safar mushkil hua dhup ta-hadd-e-nazar hai aur kahin saya nahin kuchh dinon se badh raha hai mere dil ka iztirab ek bhi lamhe ne mujhe aaram pahunchaya nahin naqsh hai meri sada ab tak dar-o-diwar par tere kanon se to ek bhi lafz takraya nahin jitne asli phul the gul-dan mein murjha gae kaghzi phulon mein koi phul kumhlaya nahin abr guzra hai meri kisht-e-tamanna se 'rashid' saya to us ne kiya hai meinh barsaya nahin