aise mahaul mein mat puchh ki kya hota hai

aise mahaul mein mat puchh ki kya hota hai
sar pe jis waqt tera dast-e-ata hota hai

mil ke ho jati hai uljhan kai logon se mujhe
jaise ek sher bahut bar suna hota hai

bantte phirte hain har lahza duaon ke gulab
hum faqiron ko bhala kis se gila hota hai

masala ye hai samete koi chhanw kaise
apni fitrat mein to har ped ghana hota hai

jis ko darkar rihaish ho mujhe batlae
hujra-e-chashm hama-waqt khula hota hai

main wo fanus hawa jis ki azal se dushman
main wo maqtal hun jo har waqt saja hota hai

us ghadi shauq se main raqs kiya karta hun
jab koi misra tere lab se ada hota hai

koi jitni bhi bachao ki tag-o-dau kar le
waqt ka tir kahan dost khata hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close