alam bhi haar gae yar be-dili dekho

alam bhi haar gae yar be-dili dekho
jiye baghair hi ek umr kat di dekho

guzar chuka hai zamana kise guzarun main
mujhe guzar rahi hai ye zindagi dekho

mere mizaj ki sakhti pe tanz karte ho
kabhi to dekhne walo mujhe sahi dekho

dil-o-dimagh pe qabiz hai waqt ka sahra
sarab khwab mein dikhte hain tishnagi dekho

shab-e-firaq hai main hun sukhan ki mahfil hai
jo mujh ko dekhna chaho to bas abhi dekho

yahi to ek hunar hai jo main ne sikha hai
dikhana chahun main tum ko jo tum wahi dekho

nae charagh hi jal-jal ke raushni denge
'bahar' ko dekhne walo khayal bhi dekho

maani zabt ke aangan se rabt karte hain
phalon ke bojh se ek shakh jhuk gai dekho

badi bahan ki purani frock id ke din
kisi gharib ki beti ki bebasi dekho

hazar raat ka jaga tha so gaya 'shaariq'
'qamar' ki aaj bujhi si hai raushni dekho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close