ahd-e-gum-gashta ki nishani hun ek bhuli hui kahani hun wo khushi hun jo dard sulgae aag jis se lage wo pani hun ek aansu hun chashm-e-ishrat ka zist ka ranj-e-shadmani hun apni barbaadiyon pe yaad aaya kitni aabaadiyon ka bani hun sina-e-dasht par hun mauj-e-sarab khushk dariyaon ki rawani hun aaina-khana-e-zamana mein aks apna hun apna sani hun ek tabassum ki aas mein 'rahi' kab se mahrum-e-shadmani hun