usi chiz ki koi izzat nahin

usi chiz ki koi izzat nahin
zamane ko jis ki zarurat nahin

sadaqat se jis ko mohabbat nahin
khuda ki qasam us ko rahat nahin

hamin se hai jitni mohabbat hamein
kisi se bhi utni mohabbat nahin

ghulami hi neamat ho jin ke liye
tijarat mein un ko masarrat nahin

nai kaun si chiz duniya mein hai
ye kahiye ki ab wo jahaalat nahin

wo duniya ke jhagde badhaega kya
jise zikr-e-khaliq se fursat nahin

ye mana ki hai dushman-e-bad ajal
magar is se bachne ki surat nahin

jo pahle the ab bhi wahi hain mere
hamari zaban hi mein lazzat nahin

khuda ki zarurat hai 'saifi' hamein
khuda ko hamari zarurat nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close