ahd-e-rafta ki lakiron pe na chalte rahiye waqt ke sath khayalat badalte rahiye thokaren kha ke bahar-gam sanbhalte rahiye manzil-e-shauq bhi mil jaegi chalte rahiye ghuncha-o-gul ko ba-sad-shauq masalte rahiye ehtiyatan kabhi kanton pe bhi chalte rahiye dost ban ban ke yunhi zahr ugalte rahiye aastinon mein meri shauq se palte rahiye qahqahe ban ke mere lab pe na thahre na sahi ashk ban kar meri palkon pe machalte rahiye shabnam o barf ki thandak hai na phulon ki mahak ishq ek aag hai is aag mein jalte rahiye aap yunhi nikhat-o-nur ke chashme ban kar gham ki tarik chatanon se ubalte rahiye mere giton ka madhur saz na baniye lekin soz ban kar mere naghmat mein dhalte rahiye 'ehtisham' aap ko jine ki tamanna hai agar zindagi ke nae unwan badalte rahiye