gila kyon ho mili hum ko wafa kam zamane se hamin the aashna kam khushamad kam talab kam iltija kam wirasat mein hamein ye sab mila kam bayan karta phirun haal-e-gham-e-dil meri aadat mein ye shamil raha kam buton wale buton se dar rahe hain khuda walon ko hai khauf-e-khuda kam mere daman pe hain jin ki nigahen wo shayad dekhte hain aaina kam kabhi main panw phaila kar na soya mere qad se rahi meri rida kam zaban par 'ehtisham' aaya to un ki hua to kuchh dilon mein fasla kam