ahd-e-wafa subuk-hawa rang-e-wafa ke sath sath ruh-e-sukhan badal gai tarz-e-ada ke sath sath sar mein liye teri hawa aazim-e-shahr-e-dil chala nikhat-e-gul ke ham-rikab mauj-e-saba ke sath sath dhang badalte jaenge rang machalte aaenge laghzish-e-pa ki tarz mein rang-e-hina ke sath sath ek tere khayal ne fikr ko par laga diye hum bhi hawaon mein rahe mauj-e-hawa ke sath sath ta ye safar hayat ka maqsad-e-zindagi bane chahiye markaz-e-nigah gardish-e-pa ke sath sath lazzat-e-na-umidi-e-shauq bhi mustaqil to ho tark-e-talab bhi kijiye tark-e-dua ke sath sath aap hi kah ke sunte hain aap hi sun ke hanste hain apni hi bazgasht hain apni sada ke sath sath haq bhi hai maslahat-e-talab rukh pe hawa-e-dahr ke chalte hain ab khuda-parast khalq-e-khuda ke sath sath 'baqar'-e-kam-ayar ki qadr kahan thi zist mein uth ke khamosh chal diya wo bhi qaza ke sath sath