miyan-e-hind-o-pakistan ek sarhad ka jhagda hai wagarna is imarat ke manare ek jaise hain karachi ka kitchen ho ya wo dakkan ki rasoi ho namak ka farq hai baigan baghaare ek jaise hain pajamon ke design ko badal dala to kya gham hai hamari biwiyon ke to gharare ek jaise hain pareshan-haal hai public magar donon mamalik ke mirasi cricketer filmi-sitare ek jaise hain kunware log to har mulk mein aazad phirte hain magar shadi-shuda qismat ke mare ek jaise hain barae-aqd-khwani qaziyon mein farq hai lekin karachi aur dilli ke chuware ek jaise hain kunwara aadmi ho ya koi aazad leader ho jo be-pende ke laute hain wo sare ek jaise hain nikamme rahnuma aur aql se paidal siyasat-dan hamare ek jaise hain tumhaare ek jaise hain yahan ka 'khalid-e-irfan' wahan ke 'rahat-indori' nire shair hain donon ke sitare ek jaise hain