ahl-e-badan ko ishq hai bahar ki koi chiz bahar kise mili hai magar ghar ki koi chiz bazar roz aaega jis ghar mein be-daregh bazar bhi to jaegi us ghar ki koi chiz qatre ka e'timad bhi kuchh be-sabab nahin qatre ke pas bhi hai samundar ki koi chiz aaj us ke lams-e-garm se jaise pighal gai mujh mein dhadak rahi thi jo patthar ki koi chiz sara hujum hai kisi apni talash ka khoi gai hai shahr mein aksar ki koi chiz ye hai kisi visal ki hasrat ki khauf-e-hijr chubhti hai raat-bhar mujhe bistar ki koi chiz 'ehsas' shairi mein ghulata hai falsafa har sher arz karta hai jauhar ki koi chiz