khizan ka qarz to ek ek darakht par hai yahan ye aur baat ki har shakh bar-war hai yahan jo soch sakta hai wo zehn jal raha hai abhi jo dekh sakti hai wo aankh khun mein tar hai yahan sunega kaun in aankhon ki be-sada fariyaad samaaton ka to andaz hi digar hai yahan sataya aaj munasib jagah pe barish ne isi bahane thahar jaen us ka ghar hai yahan hisar-e-jism se bahar bhi zindagi hai mujhe ye aur baat ki ehsas mo'tabar hai yahan