ahl-e-daulat bhi kuchh log kya ho gae mal-o-zar un ke jaise khuda ho gae haal mat puchhiye mujh se is daur ka log yun gharq-e-mauj-e-bala ho gae karwan kaise mahfuz rah paega jo the rahzan wahi rahnuma ho gae jinki har sham rindon mein guzri kabhi wo bhi kuchh roz se parsa ho gae waiz-e-mohtaram ko sar-e-mai-kada dekh kar log hairat-zada ho gae apna hamraaz samjha hamesha jinhen wo bhi ab mujh se na-ashna ho gae dada 'arif' ki shafqat ka ye faiz hai tum jo 'hassan' naghma-sara ho gae