zindagi gar de khuda aalam naya paida karun roz ho ho kar fana rang-e-baqa paida karun jalwa-gah-e-naz mein kyon kar rahun sabit-qadam har jafa ka hai taqaza ek wafa paida karun hasil-e-sad-zindagani ek mata-e-dard hai hazrat-e-naseh ko ye zid hai dawa paida karun yan to izhaar-e-tamanna wan khamoshi ki ada muddaa ye hai dil be-muddaa paida karun ek hi ka husn hai jalwa-numa kaunain mein dusra to jab kahun jab dusra paida karun chaarasaz dard-e-dil tu hi hai rab-e-be-niyaz tere hote dusra kyon ai khuda paida karun dil ka arman ek se hai ek badh kar intikhab kaun sa hamdam mitaun kaun sa paida karun sar ke dawe sab mita kar dil mein dekhun ru-e-dost khud-numai ho chuki qibla-numa paida karun husn-e-roz-afzun ki jalwe hain ghazab ki dilruba kis tarah har roz 'hasrat' dil naya paida karun