ahl-e-dil kucha-e-asnam tak aa pahunche hain fasle arsa-e-do-gam tak aa pahunche hain jo tah-e-khum mein ho baqi wahi de de saqi baada-kash durd-e-tah-e-jam tak aa pahunche hain ho chuke ahl-e-yaqin wadi-e-auham mein gum ahl-e-shak manzil-e-ilham tak aa pahunche hain jab khudi ka hai ye 'alam to khuda dur nahin but-shikan mahfil-e-asnam tak aa pahunche hain phir gai rah se ummid ki chadhti hui dhup yas ke sae dar-o-baam tak aa pahunche hain shauq gustakh hai ab parda-kusha-e-asrar khas jalwe nigah-e-am tak aa pahunche hain meri qismat ka sitara to na tha itna buland kis ki khatir wo lab-e-baam tak aa pahunche hain ham-nashinon ko mubarak karam-e-khas tera hum bhi ab rasm-o-rah-e-'am tak aa pahunche hain dekhiye kis ko ye eazaz-e-khususi ho nasib lab tere manzil-e-dushnam tak aa pahunche hain kabhi aisa bhi hua hai ki tere diwane teri dhun mein tere hamnam tak aa pahunche hain rah par un ko laga laya du'aon ka khulus subh bhatke the magar sham tak aa pahunche hain hae wo log jo hon lazzat-e-aghaz mein gum wae wo log jo anjam tak aa pahunche hain meri nazren gul-o-gulzar se aage na badhin tere jalwe sahar-o-sham tak aa pahunche hain