har lahza tamasha-e-digar dekh rahe hain

har lahza tamasha-e-digar dekh rahe hain
bante hue qatron ko guhar dekh rahe hain

tanzim teri ahl-e-nazar dekh rahe hain
kanton mein numud-e-gul-e-tar dekh rahe hain

chaunki hain abhi nind mein dubi hui aankhen
khulte hue maikhane ka dar dekh rahe hain

ab gard-e-kaf-e-pa hain dayar-e-mah-o-anjum
qudsi meri parwaz-e-nazar dekh rahe hain

rukh chhute hue maskan-e-adam ki taraf hai
aflak-nashin azm-e-bashar dekh rahe hain

chhitki tere mukhde ki hai ye chandni jab se
hum sham mein andaz-e-sahar rekh rahe hain

allah re tere aariz-e-taban ki tajalli
dekha nahin jata hai magar dekh rahe hain

hum apne hi qadmon ki tajalli ka tamasha
ta-manzil-e-khurshid-o-qamar dekh rahe hain

kuchh log hue shauq se khud zinat-e-atish
kuchh log tamasha-e-sharar dekh rahe hain

honton pe hansi aankh mein masum shararat
nairang-e-ada sham-o-sahar dekh rahe hain

allah-ghani husn-e-nazar ka ye karishma
aankhen hain kidhar aur kidhar dekh rahe hain

taqon se gire jate hain asnam-e-khayali
hum but-shikani-ha-e-nazar dekh rahe hain

ai nabz-e-do-alam teri raftar mein 'safdar'
aaj apne taranon ka asar dekh rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close