zamin pe honge magar falak pe alam rahega

zamin pe honge magar falak pe alam rahega
hamare aangan mein panjatan ka karam rahega

khuda ki baaten karenge waiz par un ke dil mein
qasam khuda ki sukun ki khatir sanam rahega

nikal sakenge jahan ki nazron se bach-bacha ke
tumhaara gham apne gham mein jis darja zam rahega

yazidiyat ki to aal paegi lambi umren
husaini jo bhi hai shahr-e-kufa mein kam rahega

koi bhi khana ho achchhe bartan mein pesh karna
safed-poshi ka is ada se bharam rahega

hum amn ki baat bhi karenge magar hamara
nishan woton mein tir talwar bam rahega

tumhaare hone se ek had tak khushi thi hum ko
tumhaare jaane se ek had tak hi gham rahega

jahan ke haalat dekh kar lag raha hai 'musa'
rahenge jab tak zamin-zade sitam rahega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close