ahl-e-duniya ne sikhaya mujhe hairan hona

ahl-e-duniya ne sikhaya mujhe hairan hona
kaise insan hain ki aata nahin insan hona

kya teri zulf-e-siyah-tab ko ai maya-naz
gham-e-ulfat se bhi aata hai pareshan hona

ghairat-e-mehr kaha un ko to hans kar bole
kaise manzur ho ab sham-e-shabistan hona

aur husn-e-gham-e-hasti ko badha deta hai
shauq-e-gesu mein tere dil ka pareshan hona

na bahaaron se gharaz hai na khizan se matlab
sikh le mujh se koi khar-badaman hona

meri danist mein tauhin-e-gunahgari hai
ai gunahgar gunahon pe pasheman hona

qar-e-dariya mein bhi ek sahil-e-rahat hai nihan
bhul hai mauja-e-tufan se hirasan hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close