apne hi aas pas hun main

apne hi aas pas hun main
khud jo apni asas hun main

jo haqiqat se be-khabar hain
nazd un ke qayas hun main

ins-o-jaan ke liye jahan mein
hai agar wo niwas hun mein

us ke bunne mein munhamik hun
har badan ka libas hun mein

fikr apne shikam ki kyon jab
har dahan ka garas hun main

tishna-kaamo hun waise sota
dasht-e-wahshat mein pyas hun main

chahe darul-aman mein hun
is jagah bhi hiras hun main

qurb hasil hai chandni ka
jism-e-simin ki aas hun main

bas phulon ki chand lamhe
apne tan hi ki bas hun main

dahr mein main jahan-jahan hun
unnati hun wikas hun main

jo hai marghub har kisi ko
ek wahi to wilas hun mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close