dil-e-gham-gin talabgar-e-qaza-e-na-gahan kyon ho

dil-e-gham-gin talabgar-e-qaza-e-na-gahan kyon ho
jise gham mil gaya wo zindagi se sargiran kyon ho

taghaful aur jafa ke ba'd sarhad hai mohabbat ki
dil-e-shaida tere zulm-o-sitam se bad-guman kyon ho

mere shukr-e-jafa par muskurae aur farmaya
sitam jab mehrbani hai to koi meherban kyon ho

mujhe hairat hai gulzar-e-jinan ki dil-farebi par
khizan jis ko nahin wo gulsitan phir gulsitan kyon ho

mila phulon ko rang-e-atshin jalte nasheman se
chaman ho mo'tarif is ka to ranj-e-ashiyan kyon ho

gulon se sikh le ikhfa-e-raaz-e-ashiqi koi
khalish kanton ki jo dil mein hai chehre se ayan kyon ho

gila karta hun qismat ka to ye aamal kahte hain
tu hi jab ho adu apna to dushman aasman kyon ho

jise duniya mein sair-e-gulshan-e-kashmir ho hasil
wo zahid ki tarah jaandada-e-bagh-e-jinan kyon ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close