ahl-e-hawas ke hathon na ye karobar ho aabaad hon sitare zamin regzar ho ek shan ye bhi jine ki hai ji rahe hain log tufan se lagao samundar se pyar ho haalat mein kabhi ye tawazun dikhai de gham mustaqil rahe na khushi mustaar ho nafrat ke sang-rezon ki barish thame kabhi dair-o-haram ke beach safar khush-gawar ho sadiyon se ghul rahi hai isi fikr mein hayat rahzan se pak zist ki har rahguzar ho baad-e-sumum lut le chehron ki tazgi agli sadi ki aisi na fasl-e-bahaar ho 'najmi' jo apne ahd ki tarikh ban gae un shairon mein kash mera bhi shumar ho