bite hue lamhon ke jo girwida rahe hain haalat ke hathon wahi ranjida rahe hain in jalwon se mamur hai duniya mere dil ki aainon ki basti mein jo nadida rahe hain rindadan-e-bala-nosh ka aalam hai nirala saqi ki inayat pe bhi nam-dida rahe hain barson gham-e-haalat ki dahliz pe kuchh log gul kar ke diye zehnon ke khwabida rahe hain har daur mein insan ne jiti hai ye bazi har daur mein kuchh masale pechida rahe hain insan ki surat mein kai rang ke patthar hum sine pe rakkhe hue khwabida rahe hain mujrim ki safon mein hain wo mazlum bhi jin se 'najmi' ne jo kuchh puchha to sanjida rahe hain