mere chehre se gham aashkara nahin

mere chehre se gham aashkara nahin
ye na samjho ki mein gham ka mara nahin

chashm-e-saqi pe bhi haq hamara nahin
ab ba-juz tark-e-mai koi chaara nahin

bahr-e-gham mein kisi ka sahaara nahin
ye koi aasman ka sitara nahin

dubne ko to dube magar naz hai
ahl-e-sahil ko hum ne pukara nahin

ghuncha-o-gul ko chaunka gai hai khizan
fasl-e-gul ne chaman ko sanwara nahin

ghair ke sath kis tarah dekhun tujhe
apni qurbat bhi mujh ko gawara nahin

yun dikhata hai aankhen hamein baghban
jaise gulshan pe kuchh haq hamara nahin

zikr-e-saqi hi kafi nahin ai 'fana'
be-piye mai-kade mein guzara nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close