ahl-e-jahan ke sath wafa ya jafa karun meri samajh mein kuchh nahin aata hai kya karun ye dard-e-dil to hasil-e-umr-daraaz hai main is ko apni zat se kyun kar juda karun duniya yahi karegi to duniya se peshtar majruh kyun na khud hi main apni ana karun duniya mein kaun hai jo nahin hai mere khilaf ek tum hi rah gae ho tumhein bhi khafa karun har zawiye se zist ne ruswa kiya mujhe kis rukh se apni zat ka ab samna karun ehsan jo uthae hain auron ke waste auron pe hain wo qarz magar main ada karun aankhon ko nind ki bhi rifaqat nahin nasib main shama to nahin ki sahar tak jala karun hasrat hi rah gai ki bahaaron ke darmiyan tere baghair bhi to kabhi khush raha karun beganagi ko chhod ke fitrat bhi hans pade aadam ke nam par koi aisi khata karun jab karb-e-agahi mein hun ai 'lais' aaj-kal is karb-e-agahi se kise aashna karun