hui dastak koi aaya nahin koi nahin hai hamein ab puchhne wala kahin koi nahin hai bahut aabaad hain ye be-dar-o-diwar se ghar mahal aise bhi hain jin mein kamin koi nahin hai jhijakte hain ishaaron se bhi dil ki baat karte ki shisha-ghar mein raazon ka amin koi nahin hai ab ek andhe kunen mein girte jaana zindagi hai ab apne panw ke niche zamin koi nahin hai zara sun to ki ab mazlum na-ummid ho kar ye kahte hain sar-e-arsh-e-barin koi nahin hai