ahl-e-nazar ki aankh mein husn ki aabru nahin yani ye gul hai kaghzi rang hai jis mein bu nahin dil ko na ranj dijiye shauq se zabh kijiye aap ki tegh tegh hai mera gulu gulu nahin dushman o dost ke liye chahiye shukr-e-tegh-e-naz kaun hai qatl-gah mein aaj jo surkh-ru nahin aap se dil lagaun kyun jaur-o-sitam uthaun kyun ab to sukun se kaam hai dard ki justuju nahin bazm-e-sukhan mein ai 'rashid' naghme se mujh ko kaam kya shair-e-shokh-fikr hun mutrib-e-khush-gulu nahin